DUNIYA KE DARSHAN


Jab se janmaa hun is dharti pe,
Zamaane ke rang ko hin badalte dekha hai,
Kabhi ektaa ka man ko atyant lubhaane wala pradarshan,
To kabhi vinaashroopi laalach k darshan…

Chalte chalte raah kabhi badli nahi,
Parantu drishya chhan chhan badalte rahe,
Kabhi phoolon pe to kabhi kaanton pe,
Ye pair sukh aur dukh dono ka anubhav karte rahe…

Kabhi doston ne dushmani nibhayi,
To kabhi dushman dost bante rahe,
Naummeed hona zyada saral tha,
Ummeed ke diye fir bhi jalte rahe…

Kya ajeeb duniya banayi us sarvapratham sarvashaktiman ne,
Jahan vidvaanon ki basti pe murkh raaj karte rahe,
Aur ajeeb si banaawat hai manushya ke is dil ki bhi,
Jo khud dhokha khaakar bhi dusron ki madad karte rahe…∝


Leave a comment